Dosti
Wo Choti Choti Baton Pe Ruth Jana,Wo Ruthe Huye Ko Or Bhi Satana ,
Wo Kabhi Bhi Padh Kar Na Jana,
Jo Teacher Puche To Topiyan Pehnana,
Wo Class Mai Beth Kay Gappey Lagana,
Wo Ek Dosre Ko Qisse Sunana,
Na Hi Wo Din Rahenge Or Na Phir Laut
Kar Ayenge,
Na Tafreeh,
Na Wo Dost,
Na Wo Batain :-(
Agar Kuch Reh Jayega To Bus Yaadain :-
( !!
Dedicated To All My Old & New Frnds..
Miss you Kambakhto ;-) !!'
--------------------------
"3 dosto ki Kahani"
1 Gyan
2 Dhan
Or
3 Viswas
Teeno bahut Achhe Dost the
3no m Pyar b Bhut tha.
Ek aisa Waqt Aaya k
3no ko juda hona pada,
3no ne Ek Dusre s sawal kiye k
Koun kahan jayega.
Gyan bola: Mai Mandir,Masjid,
Church, Gurudware or Vidyalane jaunga.
Dhan ne kaha: MAI Mahal or
Ameero jaunga.
Lekin
Viswas chup tha
Dono ne Wajah puchhi
Toh Viswas ne
Thandi Aah bhar k kaha:
Me 1 Baar Chala Gaya
Toh phir kbi lout kr nhi Aunga.
--------------------------
Sheeshe Ke Aaine Main Dekhti Hai
Woh Khamosh Nazre.
Ghunghat Main Chehra Chupaai Hue.
Aankhon Main Kajal Sajaye Hue.
Chod Ke Apna Ghar Aangan
Chali Ayee Meri Dulhan Ek Naye Duniya Basane.
Ho gaye Parai Jahan Beeta Uska Bachpan.
Aur Jawani Ki Hassen Raahein.
Aapnana Hai Wo Sansaar.
Jis Main Bana Ni Hai Naahi Kahaani.
Mathe ki Bindiya Kuch Kehti Hai Us Se.
Haatho Ki Kangan Khankati Hai.
Jaise Kehte Hai Saheli Rukh Ja Re Saakhi..
Na Chor Woh Raahein.
Jis Me Khela Tera Bachpan.
--------------------------
Dosti shayad zindgi hoti hai,
Jo har dil mein basi hoti hai,
Waise to jee lete hai sabhi akele magar,
Phir bhi zarurat inki har kisi ko hoti hai..!!
--------------------------
Tanha ho kabhi to mujko dhundna,
Duniya se nahi apne dil se poochna,
Aas pas hi kahi base rahte hai hum,
Yaado se nahi saath guzare lamho se puchna..!!
--------------------------
Khawaish Hi Nahi Alfaaz Ki,
Chahat Ko To Zarurat Hai Bas Ehsaas Ki,
Paas Hote To Manzar Hi Kya Hota,
Door Se Khabar Hai Hume Aapki Har Saans Ki..!!
--------------------------
Hakikat mahobbat ki judai hoti hai
Kabhi kabhi pyaar mein bewafai hoti hai,
Hamari taraf hath badhakar to dekho,
Pata chalega ki dosti mein kitani sacchai hoti hai
--------------------------
Dost wohi hai jo aapko aapna maan sake,
aapke har gum ko bin kahe jaan sake,
aap chal rahe ho tez baarish me,
phir bhi pani me aapke aansoo pehchaan sake.
--------------------------
Ummid aisi ho jo jeene ko majboor kare,
raah aisi ho jo chanle ko majboor kare,
Mehak kam na ho kabhi apni dosti ki,
dosti aisi ho jo milne ko majboor kare.
--------------------------
Mehak dosti ki kisi ibadat se kam nahi hogi,
Sirf ishq par ye duniya khatm nahi hogi,
Agar mil jaye hum aur aap to ye duniya,
Kisi jannat se kam nahi hogi.
--------------------------
HAR HIRA CHAMAK DAAR NAHI HOTA,
HAR SAMANDAR GEHRA NAHI HOTA,
DOSTO ZARA SAMBHAL KAR PYAAR KARNA,
HAR KHOOBSURAT CHEHRA WAFADAR NAHI HOTA.
--------------------------
KHUSHBOO MEIN EHSAS HOTA HAI,
DOSTI KA RISHTA KHAAS HOTA HAI,
HAR BAAT KO ZUBAAN SE KEHNA MUMKIN NAHI,
ISLIYE DOSTI KA NAAM VISHWAAS HOTA HAI
--------------------------
Har Aadmi Ki Apni Alag Pehchan Hoti Hai,
Hamare SMS Ki Alag Hi Shaan Hoti Hai,
Har Kisi Ko Karte Nahi Hum SMS,
Jisko Karte Hai Usme Hamari Jaan Hoti Hai.
--------------------------
Tum hanso to khusi mujhe hoti hai,
Tum rodo to aankhein meri roti hain.
Mehsoos kar ke dekh lo.
Dosti aise hi hoti hai.
--------------------------
Har koi pyar k liye tadapta hai
Har koi pyar k liye rota hai
Ae dost ye dosti sada kayam rakhna
Kyunki sabse jyada pyar iss dosti mei he hota hai
--------------------------
Wada to nahi karte dosti nibhaynge,
Koshish yahi rahegi apko nahi satayenge,
Zarurat pade to dilse pukarna,
Marte bhi honge to mohlat lekar aayenge
--------------------------
Karni Khuda se kuch fariyaad baaki hai,
Hamein unse kehni kuch baat baaki hai
Maut aegi to kehna ruk,
abhi apne Dost se Mulaakaat baaki hai
--------------------------
Doori Ho To ahsaas hota hai,
Dost ke bina jivan kitna udas hota hai
Umar ho apki Sitaron jitani lambi,
Aisa dost kahan kisi ke pass hota hai.
--------------------------
Aankhen apki ho, par ansu mere,
Zindagi apki ho, par sanse meri,
Dil apka ho, par dhadkan meri,
Zindagi ke ahkri modh par duaa hogi yehi,
Kafan apka ho, aur maut meri……
--------------------------
Tum dost ho mere sada k liye,
Main zinda hoon tumhaari wafa k liye,
Kar lena laakhon shikwa mujhse magar,
Na hona khafa khuda k liye.
--------------------------
You have known me in
Good and bad times ,
You have seen me
When i was happy and when i was sad,
You have watched me laugh and cry,
Thank you for believing in me,
For supporting me ,
And for always being there ,
--------------------------
Hakikat mahobbat ki judai hoti hai,
Kabhi kabhi pyar men bewafai hoti hai,
Hamare taraf hath badakar to dekho,
Pata chalega ki dosti men kitani sacchai hoti hai.
--------------------------
Vishwas karna hum dosti apni nibhayenge,
Agar khuda bhi bulayega to kahe denge,
Dost agar ijazat dega to hi aayenge.
Dosti ek nagama hai jise gungunata hun mai,
Dosti wo rishta hai jise nibhata hun mai,
Akele jindagi kat nahi sakti hai,
Isiliye aap jaise pyare dost ko banata hun mai.
Sitaron ke bagair asman men kya rakha hai,
Bin tere jeene men rakha kya hai?
Lagta hai sub kuch adhura sa,
Dosti ke bagair duniya men rakha kya hai?
--------------------------
Duniya ki lahar hai dosti,
Dalti sham ka khula aasman hai dosti,
Jinko samajh me aa jaye to vah malamal,
Varna bina iske bilkul kangal hai dosti.
--------------------------
Humnay Dil Tora Dharkanoun Kay Khauf Say
Apni Basti He Mita Di Barishoun Kay Khauf Say
Kon Kehta Hai Hamein Mohabbat Ras Agaye?
Hum Tu Youn He Hans Daitay Hain Ansoun Kay Khauf Say
--------------------------
Jab bhi yaad aate ho ye nazrain jhuka leta hon,
Bheegi bheegi palkon se Tumhe hoton tak la leta hon,
Tumse jo kuch keh na paya khud se woh sab kehta hon,
Guzri lamhe guzri baton ko yaad karta rehta hon,
Dil main bebasi nazron ki berukhi si khamoshi ko apna leta hon,
koi khol na de ye raaz ko daar ke nazrain hi jhukaye rakhta hon..
--------------------------
Har baar apki salamati ki dua karenge,
teri arzoo main apni hasti fanaah karenge,
tum chahe daman bachalo humse lekin….
Hum marte dum tak aapse wafa karenge!
--------------------------
Kuch rahe na rahe, teri mohabbat ka sahara rahe
Pyar main dooba, hamesha ye dil hamara rahe
Khushian teri, sare ghum mere hon dua yehi hai
Ankhoon main, sada chehra tumhara rahe
--------------------------
Intezaar rehta har shaam tera,
yaadain katati hain le-le kar naam tera…
Muddat se baithe hain yeh aas paale,
Ki aaj aayega koi paigaam tera….
--------------------------
Na thi JISKO mere pyaar ki kadar…
Itefaq se USSI ko chah rahe they hum…
Usi diye ne jalaya mere hathon ko,
Jisko hawa se bacha rahe they hum.!
--------------------------
Waqt aur khushi tere Gulam Honge,
Har Pal aur Pehlu Tere Hi naam Honge,
Jara Mud Kar Dekhna Mere Dost,
Tere Har Kadam ke neechemere hatho ke nishan Honge…
janaja wo mera rukwa ke bole,
lautenge kab tak kahan ja rahe hain??
saja jindagi ki yahan katkar hum ,
jahan se chale the wahan ja rahe hain
--------------------------
unse shikayt b kya karein..
humnae b kabhi izhaar nahi kiya…
hum unkae liye tadap-tae hain…
jinho-nae kabhi,humse pyaar nahi kiya
--------------------------
yun toh yaadein puraani nahi hoti..
pyaar pana sabki kismat nahi hoti..
hum dil rakh aaye unkae dar par,
yeh jaantae huve, ki unki nazraein zammeen par nahi hoti
--------------------------
apni har ik saans teri ghulam kar rakhi hai
logo mein ye zindagi badnam kar rakhi hai,
aaina bhi nahi ab to kisi kam ka,
hamne to apni parchhayi bhi sanam tere naam kar rakhi hai
--------------------------
kudrat ke usoloon me badal kyon nahi hota.
jo aaj hua hain wah kal kyon nahi hota.
har zheel main lehre hain aur har zheel me pani,
phir sabke mukudar main kamal kyon nahi hota.
jab tune hi duniya ka yeh divan likha hain ,
toh har aadmi ek pyaari si gajal kyon nahi hota.
baar baar na milne ki kasam khakar bhi mile hum,
phir aapne hi irado per aamal kyon nahi hota
--------------------------
Hum likhte nahin the kisi jamane mein,
par teri aashique ne shayar bana diya
Dil to hasta aaya hai jamane se
par ik pal to toone rula diya
Jaan phir bhee na nikali is diwane mein se
kyonki tere pyar ne mujhe amar bana diya
--------------------------
tujhse bichude hue mujhe ho gaye arse
yaad teri bahut aati hai dil tujhse milne ko tarse
zamana to pehle se dushman tha humara
ab mausam ko bhi dekho bin badal sawan bares
apane na ho sake jo dil kaa qaraar ho kar
aaNkhon mein bas gaye hain rang-e-bahaar ho kar
pahale na ye Khabar thi hai maut dil kaa aanaa
jo phool khil rahaa thaa khaTakaa vo Khaar ho kar
ham dil mein dafn kar ke sab murdaa hasaraton ko
Kaamosh jal rahe hain shamm-e-mazaar ho kar
--------------------------
ham apane dil kaa fasaanaa unhen sunaa na sake
lagi hai aaG jo dil mein use bujhaa na sake
teri talaash mein dar-dar ki Thokaren khaayin
meri wafaa ke qadam phir bhi Dagamagaa na sake
zaraa to soch ke us dil kaa haal kyaa hogaa jo door
reh na sake tere paas aa na sake
ham unko yaad na karate pe dil kaa kyaa kijiye hazaar bhoolanaa
chaahaa magar bhulaa na sake
--------------------------
badanaam na ho jaaye muhabbat ka fasaanaa
ai dard bhare aaNsuo aaNkhon mein na aanaa
duniya mein muhabbat ki yehi reet hai ai dil jal jaanaa
magar honTon pe fariyaad na laanaa...
--------------------------
No comments:
Post a Comment